ishq mein jo hama-tan dil nahin hone pate
Interesting Fact
(March, 1957) (Birthdate of Barq)
ishq meñ jo hama-tan dil nahīñ hone paate
darḳhur-e-jazba-e-kāmil nahīñ hone paate
jo tirī bazm meñ shāmil nahīñ hone paate
vo kisī bazm meñ dāḳhil nahīñ hone paate
jāda-e-shauq meñ haa.il nahīñ hone paate
marhale saḳht bhī mushkil nahīñ hone paate
har nafas zikr tirā lab pe rahā kartā hai
ham tirī yaad se ġhāfil nahīñ hone paate
hāsil-e-zīst vo lamhe bhī samajhtā huuñ maiñ
jo mirī sa.ī kā hāsil nahīñ hone paate
ḳhāmkārān-e-havas apnī jagah haiñ nā-ahl
ki tire pyaar ke qābil nahīñ hone paate
mah-o-ḳhurshīd ko kyā tāb-e-tajallī hogī
ruḳh-e-raushan ke muqābil nahīñ hone paate
go na iifā hue ab tak magar is ke bā-vasf
tire va.ade haiñ ki bātil nahīñ hone paate
ḳhvāh pahuñcheñ sar-e-manzil na tire dīvāne
lekin āvāra-e-manzil nahīñ hone paate
zindagī azm-o-amal se hai ibārat jin kī
vo safīne kabhī sāhil nahīñ hone paate
sham.a-sāñ dil na jalāne kī ho taufīq jinheñ
bā.is-e-garmī-e-mahfil nahīñ hone paate
kisī dar par bhī jo sar ḳham nahīñ hote 'tālib'
vo kabhī kāsa-e-sā.il nahīñ hone paate
ishq mein jo hama-tan dil nahin hone pate
darKHur-e-jazba-e-kaamil nahin hone pate
jo teri bazm mein shamil nahin hone pate
wo kisi bazm mein daKHil nahin hone pate
jada-e-shauq mein hail nahin hone pate
marhale saKHt bhi mushkil nahin hone pate
har nafas zikr tera lab pe raha karta hai
hum teri yaad se ghafil nahin hone pate
hasil-e-zist wo lamhe bhi samajhta hun main
jo meri sai ka hasil nahin hone pate
KHamkaran-e-hawas apni jagah hain na-ahl
ki tere pyar ke qabil nahin hone pate
mah-o-KHurshid ko kya tab-e-tajalli hogi
ruKH-e-raushan ke muqabil nahin hone pate
go na ifa hue ab tak magar is ke ba-wasf
tere wade hain ki baatil nahin hone pate
KHwah pahunchen sar-e-manzil na tere diwane
lekin aawara-e-manzil nahin hone pate
zindagi azm-o-amal se hai ibarat jin ki
wo safine kabhi sahil nahin hone pate
shama-san dil na jalane ki ho taufiq jinhen
bais-e-garmi-e-mahfil nahin hone pate
kisi dar par bhi jo sar KHam nahin hote 'talib'
wo kabhi kasa-e-sail nahin hone pate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.