ishq mein kaam na aaya gham-e-pinhan mera
'ishq meñ kaam na aayā ġham-e-pinhāñ merā
un se bhī chhup na sakā hāl-e-pareshāñ merā
tābish-e-husn hai aur ḳhāna-e-vīrāñ merā
aaj kaam aa hī gayā zauq-e-farāvāñ merā
ai ḳhushā un ke liye hāl-e-pareshāñ merā
vo haiñ aur tazkira-e-chāk-garebāñ merā
kāfir-e-'ishq huuñ maiñ tujh ko ḳhabar kyā vā'iz
tū ne dekhā hī nahīñ hāsil-e-īmāñ merā
dekh kar fart-e-alam meñ mujhe mā.il-ba-sukūt
chheḌ detā hai koī tār-e-rag-e-jāñ merā
un se kyā shikva ki barbād-e-mohabbat huuñ maiñ
luT gayā apne hī hāthoñ sar-o-sāmāñ merā
vo to mā.il-ba-numā.ish the magar un ke huzūr
aaj tak uTh na sakā dīda-e-hairāñ merā
maiñ bhī ḳhud.dār mirā 'ishq bhī ḳhud.dār 'hazīñ'
un ke aage bhī na phailā kabhī dāmāñ merā
'ishq mein kaam na aaya gham-e-pinhan mera
un se bhi chhup na saka haal-e-pareshan mera
tabish-e-husn hai aur KHana-e-viran mera
aaj kaam aa hi gaya zauq-e-farawan mera
ai KHusha un ke liye haal-e-pareshan mera
wo hain aur tazkira-e-chaak-gareban mera
kafir-e-'ishq hun main tujh ko KHabar kya wa'iz
tu ne dekha hi nahin hasil-e-iman mera
dekh kar fart-e-alam mein mujhe mail-ba-sukut
chheD deta hai koi tar-e-rag-e-jaan mera
un se kya shikwa ki barbaad-e-mohabbat hun main
luT gaya apne hi hathon sar-o-saman mera
wo to mail-ba-numaish the magar un ke huzur
aaj tak uTh na saka dida-e-hairan mera
main bhi KHuddar mera 'ishq bhi KHuddar 'hazin'
un ke aage bhi na phaila kabhi daman mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.