Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein kab ye zaruri hai ki roya jae

Gopal Mittal

ishq mein kab ye zaruri hai ki roya jae

Gopal Mittal

ishq meñ kab ye zarūrī hai ki royā jaa.e

ye nahīñ dāġh-e-nadāmat jise dhoyā jaa.e

dopahar hijr taptī huī sar par hai khaḌī

vasl raat ko shikvoñ meñ na khoyā jaa.e

uljhe ab panja-e-vahshat na garebānoñ se

aaj use sīna-a-a.adā meñ gaḌoyā jaa.e

ek ghūñT sahī aaj to le zāhid

kuchh na kuchh zohd ḳhushkī ko samoyā jaa.e

jitne bhī daaġh ra.ūnat ke haiñ dhul jā.eñge

hauz-e-mai meñ tujhe shaiḳh aaj Duboyā jaa.e

ishq mein kab ye zaruri hai ki roya jae

ye nahin dagh-e-nadamat jise dhoya jae

dopahar hijr ki tapti hui sar par hai khaDi

wasl ki raat ko shikwon mein na khoya jae

uljhe ab panja-e-wahshat na garebanon se

aaj use sina-a-ada mein gaDoya jae

ek hi ghunT sahi aaj to pi le zahid

kuchh na kuchh zohd ki KHushki ko samoya jae

jitne bhi dagh raunat ke hain dhul jaenge

hauz-e-mai mein tujhe shaiKH aaj Duboya jae

Source :
  • Book : Kulliyat-e-gopal mittal (Pg. 173)
  • Author : Gopal Mittal
  • Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1994)
  • Edition : 1994
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now