ishq mein kamtar hanse aur beshtar roya kiye
ishq mein kamtar hanse aur beshtar roya kiye
Karamat Ali Shaheedi
MORE BYKaramat Ali Shaheedi
ishq meñ kamtar hañse aur beshtar royā kiye
ek shab kā lutf barsoñ yaad kar royā kiye
taar rone kā na TuuTā apne mātam-ḳhāna meñ
mar ga.e jab ham hamāre nauhagar royā kiye
rone vāloñ par thā vājib āshiq-e-giryāñ kā urs
har baras abr aa ke merī ḳhaak par royā kiye
zauq hai rone se yaañ tak vasl kī shab meñ bhī ham
yaar ke paañv pe rakh kar apnā sar royā kiye
taur ye bigḌā hai us kī bazm kā ik dam ko ham
vaañ ga.e the aa ke pahroñ apne ghar royā kiye
ḳhalq ko parda-nashīñ ke ishq kā shub.ha huā
aañkh par aksar jo ham rūmāl dhar royā kiye
apne rone par jo rahm aaya use ham aur bhī
us ke dikhlāne ko mal-mal chashm-e-tar royā kiye
ishq meñ tāsīr gar rakhtā hai kuchh abr-e-safed
ham abas ḳhūn-e-dil-o-laḳht-e-jigar royā kiye
un ke dīvānoñ ko bhī kyā zabt hai auqāt kā
do pahar hañste rahe gar do pahar royā kiye
rone meñ kal raat ġhaflat is qadar taarī huī
yaar aa kar phir gayā ham be-ḳhabar royā kiye
kuchh hamīñ giryāñ nahīñ haiñ dūrī-e-ahbāb se
hashr tak is ġham meñ sab jinn-o-bashar royā kiye
dil ke jaane kā 'shahīdī' hādisa aisā nahīñ
kuchh na ro.e aah agar ham umr-bhar royā kiye
ishq mein kamtar hanse aur beshtar roya kiye
ek shab ka lutf barson yaad kar roya kiye
tar rone ka na TuTa apne matam-KHana mein
mar gae jab hum hamare nauhagar roya kiye
rone walon par tha wajib aashiq-e-giryan ka urs
har baras abr aa ke meri KHak par roya kiye
zauq hai rone se yan tak wasl ki shab mein bhi hum
yar ke panw pe rakh kar apna sar roya kiye
taur ye bigDa hai us ki bazm ka ek dam ko hum
wan gae the aa ke pahron apne ghar roya kiye
KHalq ko parda-nashin ke ishq ka shubha hua
aankh par aksar jo hum rumal dhar roya kiye
apne rone par jo rahm aaya use hum aur bhi
us ke dikhlane ko mal-mal chashm-e-tar roya kiye
ishq mein tasir gar rakhta hai kuchh abr-e-safed
hum abas KHun-e-dil-o-laKHt-e-jigar roya kiye
un ke diwanon ko bhi kya zabt hai auqat ka
do pahar hanste rahe gar do pahar roya kiye
rone mein kal raat ghaflat is qadar tari hui
yar aa kar phir gaya hum be-KHabar roya kiye
kuchh hamin giryan nahin hain duri-e-ahbab se
hashr tak is gham mein sab jinn-o-bashar roya kiye
dil ke jaane ka 'shahidi' hadisa aisa nahin
kuchh na roe aah agar hum umr-bhar roya kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.