ishq mein KHud-sari nahin hoti
ishq meñ ḳhud-sarī nahīñ hotī
husn meñ bandagī nahīñ hotī
nāvak-afgan batā to de āḳhir
dard meñ kyuuñ kamī nahīñ hotī
rāz-e-ulfat kahāñ chhupā.eñ ham
dil se bhī dushmanī nahīñ hotī
vo mohabbat bhī kyā mohabbat hai
jis meñ dīvāngī nahīñ hotī
aah kar ke bhī ham ne dekh liyā
soz-e-ġham meñ kamī nahīñ hotī
mast āñkhoñ hī se pilā saaqī
jaam se be-ḳhudī nahīñ hotī
jab kabhī sāmne vo aate haiñ
ham se ik baat bhī nahīñ hotī
kyā kareñ aise ġham ko ham le kar
jis meñ un kī ḳhushī nahīñ hotī
kaisī taqdīr hai hamārī 'vaqār'
ġham hī ġham haiñ ḳhushī nahīñ hotī
ishq mein KHud-sari nahin hoti
husn mein bandagi nahin hoti
nawak-afgan bata to de aaKHir
dard mein kyun kami nahin hoti
raaz-e-ulfat kahan chhupaen hum
dil se bhi dushmani nahin hoti
wo mohabbat bhi kya mohabbat hai
jis mein diwangi nahin hoti
aah kar ke bhi hum ne dekh liya
soz-e-gham mein kami nahin hoti
mast aankhon hi se pila saqi
jam se be-KHudi nahin hoti
jab kabhi samne wo aate hain
hum se ek baat bhi nahin hoti
kya karen aise gham ko hum le kar
jis mein un ki KHushi nahin hoti
kaisi taqdir hai hamari 'waqar'
gham hi gham hain KHushi nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.