ishq mein kitne buland imkan ho jate hain hum
ishq meñ kitne buland imkān ho jaate haiñ ham
ik badan hote hue do jaan ho jaate haiñ ham
ik na.ī tahzīb le kar aane vaalā hai junūñ
us ke istiqbāl meñ vīrān ho jaate haiñ ham
saarī girheñ khol detā hai ye āb-e-ḳhush-visāl
ishq kar ke kis qadar āsān ho jaate haiñ ham
sāhab-e-ḳhāna banā aatā hai jab aatā hai ishq
aur apne ghar meñ ḳhud mehmān ho jaate haiñ ham
apnī āġhosh-e-ravāñ meñ ġhusl kar lene de yaar
ġhusl kar ke ik na.e insān ho jaate haiñ ham
ham jo ye sāmān ghar laate haiñ ḳhud ko bech kar
ek din ghar kā yahī sāmān ho jaate haiñ ham
us kī āñkhoñ ke ishāre karte rahte haiñ raqam
dhīre dhīre sāhab-e-dīvān ho jaate haiñ ham
ishq mein kitne buland imkan ho jate hain hum
ek badan hote hue do jaan ho jate hain hum
ek nai tahzib le kar aane wala hai junun
us ke istiqbaal mein viran ho jate hain hum
sari girhen khol deta hai ye aab-e-KHush-visal
ishq kar ke kis qadar aasan ho jate hain hum
sahab-e-KHana bana aata hai jab aata hai ishq
aur apne ghar mein KHud mehman ho jate hain hum
apni aaghosh-e-rawan mein ghusl kar lene de yar
ghusl kar ke ek nae insan ho jate hain hum
hum jo ye saman ghar late hain KHud ko bech kar
ek din ghar ka yahi saman ho jate hain hum
us ki aankhon ke ishaare karte rahte hain raqam
dhire dhire sahab-e-diwan ho jate hain hum
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 59)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.