ishq mein kya chaaragar paida kiya
ishq meñ kyā chārāgar paidā kiyā
de ke dil dard-e-jigar paidā kiyā
zulf chehre se haTā kar aap ne
jalva-e-nūr-e-sahar paidā kiyā
garche apnī jaan dī farhād ne
naam ulfat meñ magar paidā kiyā
is tarah us ne baḌhāyā rabt-zabt
rafta-rafta dil meñ ghar paidā kiyā
hāl-e-dil vo ġhaur se sunñe lage
jazb-e-ulfat ne asar paidā kiyā
choT khaa.ī furqat-e-dildār kī
ham ne patthar kā jigar paidā kiyā
dil lagā kar ho ga.e bīmār-e-ġham
baiThe baiThe dard-e-sar paidā kiyā
aaj tak rāh-e-ḳhudā meñ kyā diyā
yuuñ to kaafī māl-o-zar paidā kiyā
ham ne apnī ājizī se āḳhirash
dushmanoñ ke dil meñ ghar paidā kiyā
chauñk chauñk uTThe vo ḳhvāb-e-nāz se
mere nāloñ ne asar paidā kiyā
husn gar tujh ko kiyā haq ne atā
mujh ko bhī ahl-e-nazar paidā kiyā
fitna-o-shar aadmī meñ kyoñ na ho
us ko jab haq ne bashar paidā kiyā
mujh ko qudrat ne azal se dosto
un kā manzūr-e-nazar paidā kiyā
umr bhar 'hājir' ba-juz husn-e-kalām
kaun sā ham ne hunar paidā kiyā
ishq mein kya chaaragar paida kiya
de ke dil dard-e-jigar paida kiya
zulf chehre se haTa kar aap ne
jalwa-e-nur-e-sahar paida kiya
garche apni jaan di farhad ne
nam ulfat mein magar paida kiya
is tarah us ne baDhaya rabt-zabt
rafta-rafta dil mein ghar paida kiya
haal-e-dil wo ghaur se sunne lage
jazb-e-ulfat ne asar paida kiya
choT khai furqat-e-dildar ki
hum ne patthar ka jigar paida kiya
dil laga kar ho gae bimar-e-gham
baiThe baiThe dard-e-sar paida kiya
aaj tak rah-e-KHuda mein kya diya
yun to kafi mal-o-zar paida kiya
hum ne apni aajizi se aaKHirash
dushmanon ke dil mein ghar paida kiya
chaunk chaunk uTThe wo KHwab-e-naz se
mere nalon ne asar paida kiya
husn gar tujh ko kiya haq ne ata
mujh ko bhi ahl-e-nazar paida kiya
fitna-o-shar aadmi mein kyon na ho
us ko jab haq ne bashar paida kiya
mujh ko qudrat ne azal se dosto
un ka manzur-e-nazar paida kiya
umr bhar 'hajir' ba-juz husn-e-kalam
kaun sa hum ne hunar paida kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.