ishq mein kya hathon se kisi ke daman-e-hasti chhuT gaya
ishq mein kya hathon se kisi ke daman-e-hasti chhuT gaya
Sirajuddin Zafar
MORE BYSirajuddin Zafar
ishq meñ kyā hāthoñ se kisī ke dāman-e-hastī chhūT gayā
sham.a koī ḳhāmosh huī yā koī sitārā TuuT gayā
khel rahī hai barq-e-tabassum phuul se nāzuk hoñToñ par
jāniye kis kī maut aa.ī hai kis kā muqaddar phuuT gayā
kaun thā ye bīmār-e-mohabbat jis kī bālīñ par aa kar
husn bhī dariyā dariyā royā ishq bhī siina kuuT gayā
terī bhī tasvīr thī us meñ is kā mujh ko ronā hai
varna dil kī hastī kyā hai shīsha thā so TuuT gayā
sail-e-mohabbat ke thā muqābil dil kā habāb-e-nāzuk bhī
lekin ye ab yaad nahīñ hai kab ubhrā kab phuuT gayā
ishq ne kaisī aafat Dhaa.ī sab maiḳhāne ḳhālī haiñ
kaun-o-makāñ kī saarī mastī un āñkhoñ meñ kuuT gayā
āh-e-mohabbat kā rishta thā nāzuk se bhī nāzuk-tar
ab is ko kis tarah se joḌeñ TuuT gayā so TuuT gayā
avval avval zauq-e-mohabbat thā mastī-e-be-pāyāñ
āḳhir āḳhir vaqt vo aayā sahr-e-mohabbat TuuT gayā
naaz mirī sarmastī ko kyā kyā thā sharāb-o-sāqī par
us kī āñkhoñ ko jo dekhā haath se sāġhar chhūT gayā
raat kisī kī bazm meñ go bedār thā maiñ hushyār thā maiñ
lekin koī aañkh bachā kar dil kī bastī luuT gayā
ishq mein kya hathon se kisi ke daman-e-hasti chhuT gaya
shama koi KHamosh hui ya koi sitara TuT gaya
khel rahi hai barq-e-tabassum phul se nazuk honTon par
jaaniye kis ki maut aai hai kis ka muqaddar phuT gaya
kaun tha ye bimar-e-mohabbat jis ki baalin par aa kar
husn bhi dariya dariya roya ishq bhi sina kuT gaya
teri bhi taswir thi us mein is ka mujh ko rona hai
warna dil ki hasti kya hai shisha tha so TuT gaya
sail-e-mohabbat ke tha muqabil dil ka habab-e-nazuk bhi
lekin ye ab yaad nahin hai kab ubhra kab phuT gaya
ishq ne kaisi aafat Dhai sab maiKHane KHali hain
kaun-o-makan ki sari masti un aankhon mein kuT gaya
aah-e-mohabbat ka rishta tha nazuk se bhi nazuk-tar
ab is ko kis tarah se joDen TuT gaya so TuT gaya
awwal awwal zauq-e-mohabbat tha masti-e-be-payan
aaKHir aaKHir waqt wo aaya sahr-e-mohabbat TuT gaya
naz meri sarmasti ko kya kya tha sharab-o-saqi par
us ki aankhon ko jo dekha hath se saghar chhuT gaya
raat kisi ki bazm mein go bedar tha main hushyar tha main
lekin koi aankh bacha kar dil ki basti luT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.