ishq mein mubtala kiya KHud ko
'ishq meñ mubtalā kiyā ḳhud ko
ḳhud hī ḳhud se judā kiyā ḳhud ko
pahle us ko banāyā hai manzil
aur phir rāsta kiyā ḳhud ko
maiñ bhī pahchānñe se qāsir huuñ
tum ne āḳhir ye kyā kiyā ḳhud ko
oḌh lī panchhiyoñ ne ḳhāmoshī
maiñ ne jab be-navā kiyā ḳhud ko
khul ke in ajnabī zamīnoñ meñ
us ne be-zā.iqa kiyā ḳhud ko
pesh-kash pyaar kī bhī Thukrā dī
aur be-āsrā kiyā ḳhud ko
'ishq mein mubtala kiya KHud ko
KHud hi KHud se juda kiya KHud ko
pahle us ko banaya hai manzil
aur phir rasta kiya KHud ko
main bhi pahchanne se qasir hun
tum ne aaKHir ye kya kiya KHud ko
oDh li panchhiyon ne KHamoshi
main ne jab be-nawa kiya KHud ko
khul ke in ajnabi zaminon mein
us ne be-zaiqa kiya KHud ko
pesh-kash pyar ki bhi Thukra di
aur be-asra kiya KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.