ishq mein sar ko jhukana aap kya jaanen bhala
ishq meñ sar ko jhukānā aap kyā jāneñ bhalā
TuuT kar rishta nibhānā aap kyā jāneñ bhalā
ishq kā iz.hār karnā tak nahīñ ma.alūm hai
dil-lagī meñ jaañ luTānā aap kyā jāneñ bhalā
āsmāñ meñ jab havā kī sāzisheñ hoñ har taraf
tab patangoñ ko uḌānā aap kyā jāneñ bhalā
jab charāġhoñ kī hifāzat aap se hotī nahīñ
sub.h kā sūraj ugānā aap kyā jāneñ bhalā
uḌ rahī titlī girā dī hai zamīñ par aap ne
titliyoñ ke par uThānā aap kyā jāneñ bhalā
aap to ye sochte haiñ sab bayāñ chehre se hai
dard meñ bhī muskurānā aap kyā jāneñ bhalā
ishq mein sar ko jhukana aap kya jaanen bhala
TuT kar rishta nibhana aap kya jaanen bhala
ishq ka izhaar karna tak nahin malum hai
dil-lagi mein jaan luTana aap kya jaanen bhala
aasman mein jab hawa ki sazishen hon har taraf
tab patangon ko uDana aap kya jaanen bhala
jab charaghon ki hifazat aap se hoti nahin
subh ka suraj ugana aap kya jaanen bhala
uD rahi titli gira di hai zamin par aap ne
titliyon ke par uThana aap kya jaanen bhala
aap to ye sochte hain sab bayan chehre se hai
dard mein bhi muskurana aap kya jaanen bhala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.