ishq mein sarfaraaz hain hum log
ishq meñ sarfarāz haiñ ham log
sāhib-e-imtiyāz haiñ ham log
pūchhnā kyā hamārī hastī kā
terī hastī kā raaz haiñ ham log
har musībat ko naaz hai jin par
vo musībat-navāz haiñ ham log
sham.a roī hai dekh kar jin ko
vo sarāpā gudāz haiñ ham log
ma.asiyat aur tasavvur-e-rahmat
kis qadar pāk-bāz haiñ ham log
mahfil-e-dār ho ki bazm-e-vafā
har jagah sarfarāz haiñ ham log
kyoñ na rangīñ ho naġhma apnā 'bahār'
barbat-e-soz-o-sāz haiñ ham log
ishq mein sarfaraaz hain hum log
sahib-e-imtiyaz hain hum log
puchhna kya hamari hasti ka
teri hasti ka raaz hain hum log
har musibat ko naz hai jin par
wo musibat-nawaz hain hum log
shama roi hai dekh kar jin ko
wo sarapa gudaz hain hum log
masiyat aur tasawwur-e-rahmat
kis qadar pak-baz hain hum log
mahfil-e-dar ho ki bazm-e-wafa
har jagah sarfaraaz hain hum log
kyon na rangin ho naghma apna 'bahaar'
barbat-e-soz-o-saz hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.