ishq mein tha jo kabhi aaj wo eajaz kahan
ishq meñ thā jo kabhī aaj vo e.ajāz kahāñ
husn meñ pahlā sā vo naaz vo andāz kahāñ
zindagī ḳhaak ke ik Dher meñ tabdīl huī
kho ga.ī tā.ir-e-rangīñ tirī parvāz kahāñ
chāñd kī vādī-e-ḳhush-rang se jo aatī thī
aaj vo nuur meñ Duubī huī āvāz kahāñ
ek ik kar ke sabhī rauzan-o-dar band hue
dastakeñ duuñ maiñ kahāñ koī bhī dar baaz kahāñ
ret meñ ġharq huī mere junūñ kī kashtī
aaj sahrā ko bhī hāsil koī e.azāz kahāñ
sab bayāñ kar diyā āñkhoñ kī namī ne 'sāhil'
us se poshīda hai ab merā koī raaz kahāñ
ishq mein tha jo kabhi aaj wo eajaz kahan
husn mein pahla sa wo naz wo andaz kahan
zindagi KHak ke ek Dher mein tabdil hui
kho gai tair-e-rangin teri parwaz kahan
chand ki wadi-e-KHush-rang se jo aati thi
aaj wo nur mein Dubi hui aawaz kahan
ek ek kar ke sabhi rauzan-o-dar band hue
dastaken dun main kahan koi bhi dar baz kahan
ret mein gharq hui mere junun ki kashti
aaj sahra ko bhi hasil koi eazaz kahan
sab bayan kar diya aankhon ki nami ne 'sahil'
us se poshida hai ab mera koi raaz kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.