ishq mein tumko agar jo sadgi manzur hoti
'ishq meñ tum ko agar jo sādgī manzūr hotī
phir udāsī bhī mirī chehre pe jaise nuur hotī
tū agar detā dilāsa gher kar bāñhoñ meñ mujh ko
dard meñ hotī agar to bhī bahut masrūr hotī
phir nahīñ hotī kabhī duurī mohabbat meñ zarā bhī
do-jahāñ meñ is qadar dīvāngī mash.hūr hotī
ḳhaak hotī zindagī to ġham na hotā ek pal bhī
par mohabbat se bharī ye zindagī bharpūr hotī
tū na hotā bevafā to maiñ vafā dil se nibhātī
maiñ ḳhudā sā yaar pā kar 'ishq meñ maġhrūr hotī
jism se aage nikal kar 'ishq kartā ruuh se jo
Tuut kar qadmoñ meñ tere preyasī bhī chuur hotī
'ishq mein tum ko agar jo sadgi manzur hoti
phir udasi bhi meri chehre pe jaise nur hoti
tu agar deta dilasa gher kar banhon mein mujh ko
dard mein hoti agar to bhi bahut masrur hoti
phir nahin hoti kabhi duri mohabbat mein zara bhi
do-jahan mein is qadar diwangi mashhur hoti
KHak hoti zindagi to gham na hota ek pal bhi
par mohabbat se bhari ye zindagi bharpur hoti
tu na hota bewafa to main wafa dil se nibhati
main KHuda sa yar pa kar 'ishq mein maghrur hoti
jism se aage nikal kar 'ishq karta ruh se jo
Tut kar qadmon mein tere preyasi bhi chur hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.