Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein wasl ki tadbir batane wala

Ehtisham Bachhrayuni

ishq mein wasl ki tadbir batane wala

Ehtisham Bachhrayuni

MORE BYEhtisham Bachhrayuni

    ishq meñ vasl tadbīr batāne vaalā

    kaun thā zahr ko iksīr batāne vaalā

    hogā nā-vāqif-e-ādāb-e-mohabbat koī

    halqa-e-zulf ko zanjīr batāne vaalā

    aa.ina dekh ke samjhā huuñ ki sach kahtā thā

    vo mujhe aap tasvīr batāne vaalā

    mus.haf-e-ruḳh bhī tafsīr batātā jaa.e

    lafz-e-qur.ān tafsīr batāne vaalā

    maiñ yūsuf thā zuleḳhā ke qafas meñ kal shab

    hai koī ḳhvāb ta.abīr batāne vaalā

    vo jo kahtā thā mire haath rekhā meñ hai

    kitnā jhūTā thā vo taqdīr batāne vaalā

    laa.ī hai maut ko ab sāmne taqdīr mirī

    ab batā.e koī tadbīr batāne vaalā

    vo bhī hogā koī majrūh yaqīnan yaaro

    abrū-e-nāz ko shamshīr batāne vaalā

    'ehtishām' itne baḌe shahr meñ koī na milā

    is nazar meñ tirī tauqīr batāne vaalā

    ishq mein wasl ki tadbir batane wala

    kaun tha zahr ko iksir batane wala

    hoga na-waqif-e-adab-e-mohabbat koi

    halqa-e-zulf ko zanjir batane wala

    aaina dekh ke samjha hun ki sach kahta tha

    wo mujhe aap ki taswir batane wala

    mushaf-e-ruKH ki bhi tafsir batata jae

    lafz-e-quran ki tafsir batane wala

    main hi yusuf tha zuleKHa ke qafas mein kal shab

    hai koi KHwab ki tabir batane wala

    wo jo kahta tha mere hath ki rekha mein hai tu

    kitna jhuTa tha wo taqdir batane wala

    lai hai maut ko ab samne taqdir meri

    ab batae koi tadbir batane wala

    wo bhi hoga koi majruh yaqinan yaro

    abru-e-naz ko shamshir batane wala

    'ehtisham' itne baDe shahr mein koi na mila

    is nazar mein teri tauqir batane wala

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now