ishq mein wo but agar talwar hota jaega
'ishq meñ vo but agar talvār hotā jā.egā
dil mirā shā.ista-e-paikār hotā jā.egā
ḳhushbūoñ se peḌ kī shāḳheñ mahaktī jā.eñgī
ek ik ġhuncha samar-āsār hotā jā.egā
dekhne vāloñ kī āñkheñ band hotī jā.eñgī
aur har manzar pas-e-dīvār hotā jā.egā
dhīre dhīre dhuup nuqte meñ simaTtī jā.egī
āsmāñ par abr gauhar-bār hotā jā.egā
sub.h-dam ujle parinde shāḳh par aa jā.eñge
aur phir saarā shajar bedār hotā jā.egā
dekhtā jā.egā muḌ-muḌ kar mujhe merā ġhazāl
aur nazar kā tiir dil ke paar hotā jā.egā
sāhiloñ par dhuup kī pariyāñ nahātī jā.eñgī
qāmat-e-āb-e-ravāñ sarshār hotā jā.egā
'ishq mein wo but agar talwar hota jaega
dil mera shaista-e-paikar hota jaega
KHushbuon se peD ki shaKHen mahakti jaengi
ek ek ghuncha samar-asar hota jaega
dekhne walon ki aankhen band hoti jaengi
aur har manzar pas-e-diwar hota jaega
dhire dhire dhup nuqte mein simaTti jaegi
aasman par abr gauhar-bar hota jaega
subh-dam ujle parinde shaKH par aa jaenge
aur phir sara shajar bedar hota jaega
dekhta jaega muD-muD kar mujhe mera ghazal
aur nazar ka tir dil ke par hota jaega
sahilon par dhup ki pariyan nahati jaengi
qamat-e-ab-e-rawan sarshaar hota jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.