ishq mere liye azab hua
ishq mere liye azaab huā
maiñ bhī kyā ḳhānumāñ-ḳharāb huā
jis ne chhoḌā na dāman-e-ummīd
zindagī meñ vo kāmyāb huā
merī nekī ko bhī vo shar samjhe
har gunah un kā ik savāb huā
jab huī duur har ġhalat-fahmī
vo nadāmat se aab aab huā
mujh se milte hī us kā rū-e-hasīñ
ek khiltā huā gulāb huā
kyā chhupātā fareb-kārī vo
rū-ba-rū sab ke be-naqāb huā
ham se milte rahe vo parde meñ
aur ġhairoñ se ijtināb huā
shaiḳh sāhib bhī ham-piyāla the
ham pe hī kyoñ ye ehtisāb huā
chor ko hī chunā gayā mukhiyā
vaah kyā ḳhuub intiḳhāb huā
jab bhī aa.e vo yaad ham ko 'shāz'
ik ajab dil meñ iztirāb huā
ishq mere liye azab hua
main bhi kya KHanuman-KHarab hua
jis ne chhoDa na daman-e-ummid
zindagi mein wo kaamyab hua
meri neki ko bhi wo shar samjhe
har gunah un ka ek sawab hua
jab hui dur har ghalat-fahmi
wo nadamat se aab aab hua
mujh se milte hi us ka ru-e-hasin
ek khilta hua gulab hua
kya chhupata fareb-kari wo
ru-ba-ru sab ke be-naqab hua
hum se milte rahe wo parde mein
aur ghairon se ijtinab hua
shaiKH sahib bhi ham-piyala the
hum pe hi kyon ye ehtisab hua
chor ko hi chuna gaya mukhiya
wah kya KHub intiKHab hua
jab bhi aae wo yaad hum ko 'shaz'
ek ajab dil mein iztirab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.