ishq na-motabar na ho jae
ishq nā-mo'tabar na ho jaa.e
ḳhāmushī fitna-gar na ho jaa.e
zulf-e-pechāñ ke intishār ko rok
shauq āshufta-sar na ho jaa.e
lutf ġhārat na ho tamanna kā
aah dil bā-asar na ho jaa.e
lazzat-e-dard kī duā.eñ haiñ
kyoñ ḳhafā chārāgar na ho jaa.e
ye dil-e-be-ḳhabar pe lutf-e-nigāh
āshnā-e-nazar na ho jaa.e
chhin na jaa.e nashāt-e-be-ḳhabarī
āgahī dard-e-sar na ho jaa.e
dil-e-betāb ye tirī dhaḌkan
maut kī rāhbar na ho jaa.e
ye ham-āġhoshiyāñ tasavvur meñ
kahīñ un ko ḳhabar na ho jaa.e
na mayassar agar ho lazzat-e-ishq
zindagī dard-e-sar na ho jaa.e
un ke va.ade agar vafā ho jaa.eñ
zindagī mo'atabar na ho jaa.e
ishq na-mo'tabar na ho jae
KHamushi fitna-gar na ho jae
zulf-e-pechan ke intishaar ko rok
shauq aashufta-sar na ho jae
lutf ghaarat na ho tamanna ka
aah dil ba-asar na ho jae
lazzat-e-dard ki duaen hain
kyon KHafa chaaragar na ho jae
ye dil-e-be-KHabar pe lutf-e-nigah
aashna-e-nazar na ho jae
chhin na jae nashat-e-be-KHabari
aagahi dard-e-sar na ho jae
dil-e-betab ye teri dhaDkan
maut ki rahbar na ho jae
ye ham-aghoshiyan tasawwur mein
kahin un ko KHabar na ho jae
na mayassar agar ho lazzat-e-ishq
zindagi dard-e-sar na ho jae
un ke wade agar wafa ho jaen
zindagi mo'atabar na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.