ishq ne hum ko junun-asar aisa kar diya
ishq ne ham ko junūñ-āsār aisā kar diyā
basta-e-sāhil bhī rakkhā aur dariyā kar diyā
is gulistān-e-gumāñ meñ ham bhī the mānind-e-ḳhvāb
garmī-e-andesha ne ham ko bhī sahrā kar diyā
dīda-e-ḳhush-bīñ kī ye e.ajāz-farmā.ī to dekh
kaise mub.ham ḳhāl-o-ḳhat ko ek chehrā kar diyā
ye jahāñ pinhāñ thā ik be-manzarī kī ḳhaak meñ
ham ne chashm-e-shauq se dekhā to duniyā kar diyā
ruashnī-e-tab.a ne raushan kiyā hai ik jahāñ
aur mujhe is ā.ina-ḳhāne meñ tanhā kar diyā
jab kabhī shab-zād lamhe gherne aa.e hameñ
ham ne sham-e-jāñ jalā.ī aur saverā kar diyā
ye karāmat bhī ajab us kī masīhā.ī meñ hai
jo ba-zāhir bhar diyā vo zaḳhm gahrā kar diyā
muntazir thā vaqt so ham ne ba-andāz-e-suḳhan
aarzū kā ik jahān-e-tāza paidā kar diyā
ishq ne hum ko junun-asar aisa kar diya
basta-e-sahil bhi rakkha aur dariya kar diya
is gulistan-e-guman mein hum bhi the manind-e-KHwab
garmi-e-andesha ne hum ko bhi sahra kar diya
dida-e-KHush-bin ki ye eajaz-farmai to dekh
kaise mubham KHal-o-KHat ko ek chehra kar diya
ye jahan pinhan tha ek be-manzari ki KHak mein
hum ne chashm-e-shauq se dekha to duniya kar diya
ruashni-e-taba ne raushan kiya hai ek jahan
aur mujhe is aaina-KHane mein tanha kar diya
jab kabhi shab-zad lamhe gherne aae hamein
hum ne sham-e-jaan jalai aur sawera kar diya
ye karamat bhi ajab us ki masihai mein hai
jo ba-zahir bhar diya wo zaKHm gahra kar diya
muntazir tha waqt so hum ne ba-andaz-e-suKHan
aarzu ka ek jahan-e-taza paida kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.