ishq oDha ishq pahna ishq ko mazhab kiya
'ishq oḌhā 'ishq pahnā 'ishq ko maz.hab kiyā
kaam kuchh is ke 'alāva 'āshiqoñ ne kab kiyā
pahle pahle pyaar kī pahlī ḳhatā kā irtikāb
pūchhiye mat kab kiyā bas jab kiyā so tab kiyā
kuchh nahīñ rakhtī ma'ānī kāmyābī dahr kī
surḳh-rūī us ne paa.ī jis ne raazī rab kiyā
vo bhī din the jab mirī chāhat ko paane ke liye
ik madārī kī tarah us ne har ik kartab kiyā
nāchnā kab ham ko aayā zindagī ke taal par
kaam jo kuchh bhī kiyā ham ne vahī beDhab kiyā
nok-e-shamshīr-e-'alī ne kar diyā qissa tamām
vaqt ne jab bil-muqābil lā khaḌā marhab kiyā
'ishq oDha 'ishq pahna 'ishq ko mazhab kiya
kaam kuchh is ke 'alawa 'ashiqon ne kab kiya
pahle pahle pyar ki pahli KHata ka irtikab
puchhiye mat kab kiya bas jab kiya so tab kiya
kuchh nahin rakhti ma'ani kaamyabi dahr ki
surKH-rui us ne pai jis ne raazi rab kiya
wo bhi din the jab meri chahat ko pane ke liye
ek madari ki tarah us ne har ek kartab kiya
nachna kab hum ko aaya zindagi ke tal par
kaam jo kuchh bhi kiya hum ne wahi beDhab kiya
nok-e-shamshir-e-'ali ne kar diya qissa tamam
waqt ne jab bil-muqabil la khaDa marhab kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.