ishq pagal-pan mein sanjida na ho jae kahin
ishq pāgal-pan meñ sanjīda na ho jaa.e kahīñ
mujh ko Dar hai tū mere jaisā na ho jaa.e kahīñ
fasl-e-gul meñ hai shajar ko fikr ne tanhā kiyā
fasl-e-gul ke baad vo tanhā na ho jaa.e kahīñ
titliyoñ se ham riyā-kārī guloñ kī kah to deñ
Dar yahī hai shoḳh phir saada na ho jaa.e kahīñ
ham mudāvā apne ġham kā is liye karte nahīñ
ḳhud masīhā hone kā da.avā na ho jaa.e kahīñ
ishq pagal-pan mein sanjida na ho jae kahin
mujh ko Dar hai tu mere jaisa na ho jae kahin
fasl-e-gul mein hai shajar ko fikr ne tanha kiya
fasl-e-gul ke baad wo tanha na ho jae kahin
titliyon se hum riya-kari gulon ki kah to den
Dar yahi hai shoKH phir sada na ho jae kahin
hum mudawa apne gham ka is liye karte nahin
KHud masiha hone ka dawa na ho jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.