ishq-pesha hain to nuqsan uThate rahiye
'ishq-pesha haiñ to nuqsān uThāte rahiye
paas jitnā bhī zar-e-dil hai luTāte rahiye
pesh-e-ḳhurshīd khulī rakhiye kitāb-e-gulshan
āyat-e-pāra-e-gul roz sunāte rahiye
likh ke le jā.iye ik taaza qasīda har roz
ḳhil'at-o-mansab-o-zar shaah se paate rahiye
tez hai sho'la-e-shab ḳhaak na ho jaa.eñ makāñ
raat bhar saare makīnoñ ko jagāte rahiye
rakhiye har haal meñ ye sham’-e-ta’alluq raushan
aur lau is kī jahāñ tak ho baḌhāte rahiye
daam is baaġh se jab tak na uThā leñ sayyād
in parindoñ ko fazāoñ meñ uḌāte rahiye
tā na aa.e kabhī ḳhanjar kī ravānī meñ kamī
mere siine pe na.e zaḳhm lagāte rahiye
TūTne diije na ye silsila-e-āmad-e-nūr
sham' zulmat-kada-e-shab meñ jalāte rahiye
ham to mahkūm haiñ har zulm pe chup haiñ aur aap
hākim-e-shahr haiñ so ḳhuun bahāte rahiye
log dekheñge kahāñ aise lahū ke manzar
sab ko is shahr kī tasvīr dikhāte rahiye
ho agar hausla to kījiye kaj apnī kulāh
varna sar jaise jhukāte haiñ jhukāte rahiye
lashkar is shahr ko vīrān kiyā chāhte haiñ
aap ko jashn manānā hai manāte rahiye
'ishq-pesha hain to nuqsan uThate rahiye
pas jitna bhi zar-e-dil hai luTate rahiye
pesh-e-KHurshid khuli rakhiye kitab-e-gulshan
aayat-e-para-e-gul roz sunate rahiye
likh ke le jaiye ek taza qasida har roz
KHil'at-o-mansab-o-zar shah se pate rahiye
tez hai sho'la-e-shab KHak na ho jaen makan
raat bhar sare makinon ko jagate rahiye
rakhiye har haal mein ye sham’-e-ta’alluq raushan
aur lau is ki jahan tak ho baDhate rahiye
dam is bagh se jab tak na uTha len sayyaad
in parindon ko fazaon mein uDate rahiye
ta na aae kabhi KHanjar ki rawani mein kami
mere sine pe nae zaKHm lagate rahiye
TuTne dije na ye silsila-e-amad-e-nur
sham' zulmat-kada-e-shab mein jalate rahiye
hum to mahkum hain har zulm pe chup hain aur aap
hakim-e-shahr hain so KHun bahate rahiye
log dekhenge kahan aise lahu ke manzar
sab ko is shahr ki taswir dikhate rahiye
ho agar hausla to kijiye kaj apni kulah
warna sar jaise jhukate hain jhukate rahiye
lashkar is shahr ko viran kiya chahte hain
aap ko jashn manana hai manate rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.