ishq ruswa sar-e-bazar hua hai kya kya
ishq rusvā sar-e-bāzār huā hai kyā kyā
roz jashn-e-rasan-o-dār huā hai kyā kyā
ta.ana-o-tanz kī parvā na malāmat kā ḳhayāl
jī tire ishq meñ nā-chār huā hai kyā kyā
kitne hī nāseh-e-mushfiq phire nākām na pūchh
chuur ā.īna-e-pindār huā hai kyā kyā
terī qurbat tirā milnā to baḌī baat na thī
kaam jo sahl thā dushvār huā hai kyā kyā
ham jo us bazm ko Thukrā ke chale aa.e haiñ
ham pe nāzāñ dil-e-ḳhuddār huā hai kyā kyā
fikr-e-āġhāz 'payām' aur na anjām kā ġham
ham pe ehsān-e-ġham-e-yār huā hai kyā kyā
ishq ruswa sar-e-bazar hua hai kya kya
roz jashn-e-rasan-o-dar hua hai kya kya
tana-o-tanz ki parwa na malamat ka KHayal
ji tere ishq mein na-chaar hua hai kya kya
kitne hi naseh-e-mushfiq phire nakaam na puchh
chur aaina-e-pindar hua hai kya kya
teri qurbat tera milna to baDi baat na thi
kaam jo sahl tha dushwar hua hai kya kya
hum jo us bazm ko Thukra ke chale aae hain
hum pe nazan dil-e-KHuddar hua hai kya kya
fikr-e-aghaz 'payam' aur na anjam ka gham
hum pe ehsan-e-gham-e-yar hua hai kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.