ishq ruTha hai kabhi husn se bad-zan ho kar
ishq ruTha hai kabhi husn se bad-zan ho kar
Jiya Lal Datt Rafeeq
MORE BYJiya Lal Datt Rafeeq
ishq rūThā hai kabhī husn se bad-zan ho kar
dāġh-e-dil aur bhaḌak uThte haiñ raushan ho kar
dair meñ bhī hai vahī aur haram meñ bhī vahī
bair kyoñ shaiḳh se hai tujh ko barahman ho kar
ghup añdheroñ meñ hue mujh se gunah jo sarzad
sāmne aa khaḌe haiñ vo mire darpan ho kar
sadme jo terī jafāoñ ke ubhar aa.e haiñ
dil meñ vo aaj chamak uTThe haiñ raushan ho kar
ab to jiinā bhī hai dushvār ġham-e-furqat meñ
mujh ko dil bhī na nazar aaya nasheman ho kar
bad-nasībī kī koī had bhī huā kartī hai
ban gayā kunj-e-qafas dasht kā dāman ho kar
āsmānoñ meñ jo mañDlātī nazar aatī haiñ
bijliyāñ utreñgī vo barq-e-nasheman ho kar
maiñ ne dushman ko kabhī samjhā na dushman lekin
aap to aur hasīñ ban ga.e dushman ho kar
DhūñD aaya huuñ maiñ har-qarya-o-har-shahr 'rafīq'
koī vaadī na milī vādī-e-aiman ho kar
ishq ruTha hai kabhi husn se bad-zan ho kar
dagh-e-dil aur bhaDak uThte hain raushan ho kar
dair mein bhi hai wahi aur haram mein bhi wahi
bair kyon shaiKH se hai tujh ko barahman ho kar
ghup andheron mein hue mujh se gunah jo sarzad
samne aa khaDe hain wo mere darpan ho kar
sadme jo teri jafaon ke ubhar aae hain
dil mein wo aaj chamak uTThe hain raushan ho kar
ab to jina bhi hai dushwar gham-e-furqat mein
mujh ko dil bhi na nazar aaya nasheman ho kar
bad-nasibi ki koi had bhi hua karti hai
ban gaya kunj-e-qafas dasht ka daman ho kar
aasmanon mein jo manDlati nazar aati hain
bijliyan utrengi wo barq-e-nasheman ho kar
main ne dushman ko kabhi samjha na dushman lekin
aap to aur hasin ban gae dushman ho kar
DhunD aaya hun main har-qarya-o-har-shahr 'rafiq'
koi wadi na mili wadi-e-aiman ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.