ishq se jis ka dil gudaz nahin
ishq se jis kā dil gudāz nahīñ
dar-e-irfāñ bhī us pe baaz nahīñ
dar-e-jānāñ pe hai qiyām-o-qu.ūd
apnī koī qazā namāz nahīñ
vasl us kā na kyūñke ho dushvār
jis ke dīdār ke majāz nahīñ
shauq meñ pūchhtā huuñ rāh-e-haram
gabr-o-momin kā e.atibār nahīñ
terī aalī janāb meñ mahmūd
mujhe kyā rutba-e-ayāz nahīñ
nahīñ hone kā kāmil-ul-īmāñ
jis ko ishq-e-shah-e-hijāz nahīñ
saath hai bād-e-marg hasrat-e-dīd
be-sabab chashm apnī baaz nahīñ
qalb us kā hai misl-e-dūd-e-siyāh
sham.a saañ jis kā dil gudāz nahīñ
kyūñki din umr ke kaTeñ ba-ḳhushī
mizha-e-dīd dil-navāz nahīñ
band hai bāb-e-mai-kada jo 'fidā'
kyā dar-e-tauba tujh pe baaz nahīñ
ishq se jis ka dil gudaz nahin
dar-e-irfan bhi us pe baz nahin
dar-e-jaanan pe hai qiyam-o-quud
apni koi qaza namaz nahin
wasl us ka na kyunke ho dushwar
jis ke didar ke majaz nahin
shauq mein puchhta hun rah-e-haram
gabr-o-momin ka eatibar nahin
teri aali janab mein mahmud
mujhe kya rutba-e-ayaz nahin
nahin hone ka kaamil-ul-iman
jis ko ishq-e-shah-e-hijaz nahin
sath hai baad-e-marg hasrat-e-did
be-sabab chashm apni baz nahin
qalb us ka hai misl-e-dud-e-siyah
shama san jis ka dil gudaz nahin
kyunki din umr ke kaTen ba-KHushi
mizha-e-did dil-nawaz nahin
band hai bab-e-mai-kada jo 'fida'
kya dar-e-tauba tujh pe baz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.