ishq se ki ye dil-e-Khaali ne bhar jaane mein dhum
ishq se kī ye dil-e-ḳhālī ne bhar jaane meñ dhuum
Daale jyuuñ kam-zarf mai ke ek do paimāne meñ dhuum
shor tab bastī meñ thā atfāl ke pathrāv kā
ab divāne dil ne Daalā jā ke vīrāne meñ dhuum
dil siyah-mast-e-junūñ hai jab se yuuñ Daalā hai shor
jiyūñ ho fīl-e-mast kī zanjīr khul jaane meñ dhuum
dil meñ yuuñ aatī hai terī yaad ai yār-e-azīz
misr meñ jyuuñ hazrat-e-yūsuf kī thī aane meñ dhuum
kam numā rahtā hai tū ham se hilāl-e-īd sā
jach ga.ī dil meñ tirī abrū nazar aane meñ dhuum
'ishq' ke dāġhoñ ne kī hai dil ke gulshan meñ bahār
hogī kyā laala kī yaañ tashrīf farmāne meñ dhuum
ishq se ki ye dil-e-KHali ne bhar jaane mein dhum
Dale jyun kam-zarf mai ke ek do paimane mein dhum
shor tab basti mein tha atfal ke pathraw ka
ab diwane dil ne Dala ja ke virane mein dhum
dil siyah-mast-e-junun hai jab se yun Dala hai shor
jiyun ho fil-e-mast ki zanjir khul jaane mein dhum
dil mein yun aati hai teri yaad ai yar-e-aziz
misr mein jyun hazrat-e-yusuf ki thi aane mein dhum
kam numa rahta hai tu hum se hilal-e-id sa
jach gai dil mein teri abru nazar aane mein dhum
'ishq' ke daghon ne ki hai dil ke gulshan mein bahaar
hogi kya lala ki yan tashrif farmane mein dhum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.