ishq shoala na husn shabnam hai
ishq sho.ala na husn shabnam hai
sab tilism-e-sarisht-e-ādam hai
ab ye māyūsiyoñ kā aalam hai
fart-e-rāhat bhī shiddat-e-ġham hai
aaj is kor dil meñ zamāne meñ
kaun terī adā kā mahram hai
kyuuñ kare vo masarratoñ kī talāsh
jis kī fitrat hī ḳhūgar-e-ġham hai
ik qayāmat hai terā har andāz
har adā fitna-e-mujassam hai
aañkh badlī huī hai duniyā kī
jab se terī nigāh barham hai
mere hī dam se terī mahfil kā
jo bhī zarra hai jān-e-ālam hai
apnī taqdīr kī shikāyat kyā
aap kā iltifāt hī kam hai
apnā sarmāya-e-hayāt 'azīz'
dāman-e-tar hai chashm-e-pur-nam hai
ishq shoala na husn shabnam hai
sab tilism-e-sarisht-e-adam hai
ab ye mayusiyon ka aalam hai
fart-e-rahat bhi shiddat-e-gham hai
aaj is kor dil mein zamane mein
kaun teri ada ka mahram hai
kyun kare wo masarraton ki talash
jis ki fitrat hi KHugar-e-gham hai
ek qayamat hai tera har andaz
har ada fitna-e-mujassam hai
aankh badli hui hai duniya ki
jab se teri nigah barham hai
mere hi dam se teri mahfil ka
jo bhi zarra hai jaan-e-alam hai
apni taqdir ki shikayat kya
aap ka iltifat hi kam hai
apna sarmaya-e-hayat 'aziz'
daman-e-tar hai chashm-e-pur-nam hai
- Book : Mehraab (Pg. 117)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.