ishq tajdid kar ke dekhte hain
ishq tajdīd kar ke dekhte haiñ
phir se ummīd kar ke dekhte haiñ
qatl karte haiñ apnī hastī kā
aur phir iid kar ke dekhte haiñ
us kī tanqīd karne se pahle
apnī tanqīd kar ke dekhte haiñ
roz hañste haiñ muskurāte haiñ
aaj nam diid kar ke dekhte haiñ
kuchh na hāsil huā ġhazal kah kar
aao tamjīd kar ke dekhte haiñ
vasf maqbūl kar ke dekhte haiñ
husn tardīd kar ke dekhte haiñ
aaj aarif muqallidīn kī ham
ḳhud hī taqlīd kar ke dekhte haiñ
ishq tajdid kar ke dekhte hain
phir se ummid kar ke dekhte hain
qatl karte hain apni hasti ka
aur phir id kar ke dekhte hain
us ki tanqid karne se pahle
apni tanqid kar ke dekhte hain
roz hanste hain muskuraate hain
aaj nam did kar ke dekhte hain
kuchh na hasil hua ghazal kah kar
aao tamjid kar ke dekhte hain
wasf maqbul kar ke dekhte hain
husn tardid kar ke dekhte hain
aaj aarif muqallidin ki hum
KHud hi taqlid kar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.