ishq tera hai ru-baru ba-KHuda
'ishq terā hai rū-barū ba-ḳhudā
ho ga.ī maiñ to surḳh-rū ba-ḳhudā
us ko paayā to chain aayā hai
jis kī rahtī thī justujū ba-ḳhudā
'ishq ne zindagī banā Daalī
'ishq mere hai chār-sū ba-ḳhudā
raaj karte haiñ masnad-e-dil par
ik mohabbat aur ek tū ba-ḳhudā
us jagah par sukūn miltā hai
ho jahāñ terī guftugū ba-ḳhudā
bai’at-e-ishq ho ga.ī jab se
dil ye rahtā hai bā-vazū ba-ḳhudā
tere ash'ār hoñ amar 'ambar'
hai yahī dil kī aarzū ba-ḳhudā
'ishq tera hai ru-baru ba-KHuda
ho gai main to surKH-ru ba-KHuda
us ko paya to chain aaya hai
jis ki rahti thi justuju ba-KHuda
'ishq ne zindagi bana Dali
'ishq mere hai chaar-su ba-KHuda
raj karte hain masnad-e-dil par
ek mohabbat aur ek tu ba-KHuda
us jagah par sukun milta hai
ho jahan teri guftugu ba-KHuda
bai’at-e-ishq ho gai jab se
dil ye rahta hai ba-wazu ba-KHuda
tere ash'ar hon amar 'ambar'
hai yahi dil ki aarzu ba-KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.