ishq tujhse zulf-e-pur-KHam kya karen
ishq tujh se zulf-e-pur-ḳham kyā kareñ
chheḌ kar barham ko barham kyā kareñ
mere marne kā vo mātam kyā kareñ
marne vaalā mar gayā ġham kyā kareñ
roz-e-mahshar ho gayā hai sāmnā
dekhiye vo ho ke barham kyā kareñ
piite haiñ zamzam samajh kar gāh-gāh
sāqiyā ab is se bhī kam kyā kareñ
un kī Thokar bhī nahīñ hotī nasīb
khā.eñ kyā razzāq-e-ālam kyā kareñ
ābrū-e-zabt thī motī kī aab
kyā kareñ ai chashm-e-pur-nam kyā kareñ
hai hayā bhī ham-rah-e-josh-e-shabāb
vo kisī mahram ko mahram kyā kareñ
mujh se bīmār-e-firāq-e-yār ko
dam na deñ to ibn-e-mariyam kyā kareñ
ai dil-e-pur-soz le kar tujh ko ham
chal paḌe haT dar jahannam kyā kareñ
ho ga.e haiñ jo tire kūche kī ḳhaak
nusḳha-e-iksīr-e-āzam kyā kareñ
marg-e-'rāsiḳh' kī ḳhabar sun kar kahā
mar gayā achchhā huā ham kyā kareñ
ishq tujh se zulf-e-pur-KHam kya karen
chheD kar barham ko barham kya karen
mere marne ka wo matam kya karen
marne wala mar gaya gham kya karen
roz-e-mahshar ho gaya hai samna
dekhiye wo ho ke barham kya karen
pite hain zamzam samajh kar gah-gah
saqiya ab is se bhi kam kya karen
un ki Thokar bhi nahin hoti nasib
khaen kya razzaq-e-alam kya karen
aabru-e-zabt thi moti ki aab
kya karen ai chashm-e-pur-nam kya karen
hai haya bhi ham-rah-e-josh-e-shabab
wo kisi mahram ko mahram kya karen
mujh se bimar-e-firaq-e-yar ko
dam na den to ibn-e-mariyam kya karen
ai dil-e-pur-soz le kar tujh ko hum
chal paDe haT dar jahannam kya karen
ho gae hain jo tere kuche ki KHak
nusKHa-e-iksir-e-azam kya karen
marg-e-'rasiKH' ki KHabar sun kar kaha
mar gaya achchha hua hum kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.