ishq wali gham-zada ya dosti wali karen
ishq wali gham-zada ya dosti wali karen
Ajeetendra Aazi Tamaam
MORE BYAjeetendra Aazi Tamaam
'ishq vaalī ġham-zada yā dostī vaalī kareñ
ham suḳhanvar haiñ batāo shā'irī kaisī kareñ
bach ga.e to zindagī lāchār kar degī tumheñ
is liye marne se pahle maut ko raazī kareñ
merā dil merī shikāyat mere dukh merī sazā
aap ko kyā hī paḌī hai aap bas jī jī kareñ
baa'd rusvā.ī koī ġham hī nahīñ rusvā.ī kā
jī meñ aatā hai ki ab rusvā har ik hastī kareñ
ai mohabbat tujh se kyoñ bhartā nahīñ āḳhir ye dil
kitnā dil ko dard deñ aur kitnā dil zaḳhmī kareñ
hijr kī dīvār par tasvīr hai ik hijr kī
sochte haiñ bārhā sīdhī kareñ ulTī kareñ
vo jinhoñ ne ḳhvāhisheñ pe ḳhvāhisheñ taslīm kiiñ
zindagī achchhī kaTegī ḳhvāhisheñ chhoTī kareñ
dil dukhā kar bolte haiñ kitne dil-jū log haiñ
jaane vaale ab tumhārī fikr bhī kitnī kareñ
dard hī bas dard aur is ke 'alāva kuchh nahīñ
ab kareñ to kyā kareñ kyā dard kī khetī kareñ
bebasī hī bebasī hai bebasī hī bebasī
aur kitnā ruuh ko apnī batā qaidī kareñ
'ishq wali gham-zada ya dosti wali karen
hum suKHanwar hain batao sha'iri kaisi karen
bach gae to zindagi lachaar kar degi tumhein
is liye marne se pahle maut ko raazi karen
mera dil meri shikayat mere dukh meri saza
aap ko kya hi paDi hai aap bas ji ji karen
ba'd ruswai koi gham hi nahin ruswai ka
ji mein aata hai ki ab ruswa har ek hasti karen
ai mohabbat tujh se kyon bharta nahin aaKHir ye dil
kitna dil ko dard den aur kitna dil zaKHmi karen
hijr ki diwar par taswir hai ek hijr ki
sochte hain barha sidhi karen ulTi karen
wo jinhon ne KHwahishen pe KHwahishen taslim kin
zindagi achchhi kaTegi KHwahishen chhoTi karen
dil dukha kar bolte hain kitne dil-ju log hain
jaane wale ab tumhaari fikr bhi kitni karen
dard hi bas dard aur is ke 'alawa kuchh nahin
ab karen to kya karen kya dard ki kheti karen
bebasi hi bebasi hai bebasi hi bebasi
aur kitna ruh ko apni bata qaidi karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.