ishq wahshat hua wahshat se junun-KHez hua
ishq vahshat huā vahshat se junūñ-ḳhez huā
ya.anī paimānā mirā aag se labrez huā
chāñd sūraj ko bulā letā hai ghar meñ apne
terā shā.ir to tire ishq meñ tabrez huā
terī ḳhushbū se mirī ruuh pe taarī hai surūr
tere bose se mirā lab gul-e-nau-ḳhez huā
is tarah mujh meñ samāyā hai ki ik nūr-e-ḳhudā
arsh se aa ke mirī ruuh meñ aamez huā
chhū gayā terā dupaTTa jo achānak mujh se
dhaḌkaneñ baḌhne lagīñ ḳhuuñ sharar-añgez huā
karvaTeñ letā rahā dard mirī palkoñ par
dasht-e-imkān-e-vafā zaḳhm se gul-rez huā
tere ehsās ne badlā hai tasavvur kā mizāj
terā gul-rang mirī fikr kā rañgrez huā
dhuup jab ruḳh kī tere utrī mirī āñkhoñ meñ
gulshan-e-ishq chamak uTThā dil-āvez huā
vaqt-e-sajda jo tire paañv pe Tapkā thā 'nadīm'
qatra-e-ashk mirā sail-e-balā-ḳhez huā
ishq wahshat hua wahshat se junun-KHez hua
yani paimana mera aag se labrez hua
chand suraj ko bula leta hai ghar mein apne
tera shair to tere ishq mein tabrez hua
teri KHushbu se meri ruh pe tari hai surur
tere bose se mera lab gul-e-nau-KHez hua
is tarah mujh mein samaya hai ki ek nur-e-KHuda
arsh se aa ke meri ruh mein aamez hua
chhu gaya tera dupaTTa jo achanak mujh se
dhaDkanen baDhne lagin KHun sharar-angez hua
karwaTen leta raha dard meri palkon par
dasht-e-imkan-e-wafa zaKHm se gul-rez hua
tere ehsas ne badla hai tasawwur ka mizaj
tera gul-rang meri fikr ka rangrez hua
dhup jab ruKH ki tere utri meri aankhon mein
gulshan-e-ishq chamak uTTha dil-awez hua
waqt-e-sajda jo tere panw pe Tapka tha 'nadim'
qatra-e-ashk mera sail-e-bala-KHez hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.