pani mein chhap-chhayya karti shor machati sham
paanī meñ chhap-chhayyā kartī shor machātī shaam
jaise mujh meñ Thahar ga.ī hai jal barsātī shaam
giilī lakḌī jaisā jīvan dhuāñ-dhuāñ se ḳhvāb
sāvan jaise dhuup chhāñv din aag jalātī shaam
tanhā.ī kī shaal meñ lipTe ūñche ūñche ghar
aur galī meñ nange paaoñ ūdham machātī shaam
nange pairoñ kājal Tiika tan par phaTī qamīs
tez havā se laḌte-bhiḌte jashn manātī shaam
ummīdeñ TūTe-phūTe tāqoñ meñ hañste phuul
ḳhvāhish suunī dargāhoñ meñ diye jalātī shaam
rail kī paTrī jaisī yādeñ uljhe-suljhe raste
aadhī khulī huī khiḌkī se haath hilātī shaam
pani mein chhap-chhayya karti shor machati sham
jaise mujh mein Thahar gai hai jal barsati sham
gili lakDi jaisa jiwan dhuan-dhuan se KHwab
sawan jaise dhup chhanw din aag jalati sham
tanhai ki shaal mein lipTe unche unche ghar
aur gali mein nange paon udham machati sham
nange pairon kajal Tika tan par phaTi qamis
tez hawa se laDte-bhiDte jashn manati sham
ummiden TuTe-phuTe taqon mein hanste phul
KHwahish suni dargahon mein diye jalati sham
rail ki paTri jaisi yaaden uljhe-suljhe raste
aadhi khuli hui khiDki se hath hilati sham
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 77)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.