kankar Thahre pani mein
kankar Thahre paanī meñ
ā.īna hairānī meñ
jaadū laḌkī mahal-sarā
sab thā ek kahānī meñ
jaane kyā kyā bol ga.e
ham bhī raat ravānī meñ
bhuul hī jaanā behtar hai
jo bhī huā nādānī meñ
niiñd hameñ aa jaatī thī
aksar biich kahānī meñ
naag aur nāgin rahte the
apnī raat kī raanī meñ
zahr ye kis ne ghol diyā
ThanDe mīThe paanī meñ
aag ye kis ne bhaḌkā.ī
mausam kī jaulānī meñ
ek aaseb makānoñ meñ
ik dil kī vīrānī meñ
ek andesha ghar meñ hai
aur ik naql-e-makānī meñ
ek karishma aag meñ hai
ek karāmat paanī meñ
ek tamāsha harf meñ hai
ik tamsīl ma'ānī meñ
farq to āḳhir honā thā
'ġhālib' aur 'ḳhāqānī' meñ
kankar Thahre pani mein
aaina hairani mein
jadu laDki mahal-sara
sab tha ek kahani mein
jaane kya kya bol gae
hum bhi raat rawani mein
bhul hi jaana behtar hai
jo bhi hua nadani mein
nind hamein aa jati thi
aksar bich kahani mein
nag aur nagin rahte the
apni raat ki rani mein
zahr ye kis ne ghol diya
ThanDe miThe pani mein
aag ye kis ne bhaDkai
mausam ki jaulani mein
ek aaseb makanon mein
ek dil ki virani mein
ek andesha ghar mein hai
aur ek naql-e-makani mein
ek karishma aag mein hai
ek karamat pani mein
ek tamasha harf mein hai
ek tamsil ma'ani mein
farq to aaKHir hona tha
'ghaalib' aur 'KHaqani' mein
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 94)
- Author :Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.