ishrat-gah-e-jahan mein tamasha hai chaar-su
ishrat-gah-e-jahāñ meñ tamāsha hai chār-sū
ya.anī fareb-e-dasht-e-tamanna hai chār-sū
naqsh-o-nigār vahshat-e-dil-gīr ke sivā
dāmān-e-gul-farosh meñ aur kyā hai chār-sū
sair-o-tavāf-e-gauhar-e-ranj-o-alam karo
hadd-e-nazar meñ ishq kī duniyā hai chār-sū
sun kar bayān-e-bād-e-sabā ho gayā yaqīn
terī zabān-e-shīrīñ kā charchā hai chār-sū
ik bahr-e-tīrgī ke sivā kyā thī kā.enāt
ab to tirī adāoñ kā jalva hai chār-sū
aurāq āsmāñ ke bhī dekhe haiñ khol kar
ham donoñ hī ke ishq kā qissa hai chār-sū
ik din khilegā ban ke gul-e-inqalāb-e-ishq
merā lahū zamīn pe bikhrā hai chār-sū
sūraj bhī jis kī taab se tharrā ke haT gayā
vo barq zer-e-hastī-e-ashyā hai chār-sū
hai markaz-e-nashāt-e-do-ālam 'nadīm' jī
bachchoñ ne mere naqsha vo khīñchā hai chār-sū
ishrat-gah-e-jahan mein tamasha hai chaar-su
yani fareb-e-dasht-e-tamanna hai chaar-su
naqsh-o-nigar wahshat-e-dil-gir ke siwa
daman-e-gul-farosh mein aur kya hai chaar-su
sair-o-tawaf-e-gauhar-e-ranj-o-alam karo
hadd-e-nazar mein ishq ki duniya hai chaar-su
sun kar bayan-e-baad-e-saba ho gaya yaqin
teri zaban-e-shirin ka charcha hai chaar-su
ek bahr-e-tirgi ke siwa kya thi kaenat
ab to teri adaon ka jalwa hai chaar-su
auraq aasman ke bhi dekhe hain khol kar
hum donon hi ke ishq ka qissa hai chaar-su
ek din khilega ban ke gul-e-inqalab-e-ishq
mera lahu zamin pe bikhra hai chaar-su
suraj bhi jis ki tab se tharra ke haT gaya
wo barq zer-e-hasti-e-ashya hai chaar-su
hai markaz-e-nashat-e-do-alam 'nadim' ji
bachchon ne mere naqsha wo khincha hai chaar-su
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.