ishrat ka KHayal aae aur dil mein malal aae
ishrat ka KHayal aae aur dil mein malal aae
Khaleel-ul-Huda Shariq Niyazi
MORE BYKhaleel-ul-Huda Shariq Niyazi
ishrat kā ḳhayāl aa.e aur dil meñ malāl aa.e
yuuñ jis kā ḳhayāl aa.e ḳhaak us kā ḳhayāl aa.e
paiġhām-e-bahār aa.e majbūr-e-qafas tak kyoñ
kyoñ ishrat-e-rafta kā ab dil meñ ḳhayāl aa.e
saaqī tirī mahfil meñ andesha-e-fardā kyā
sāġhar liye tū aa.e aur fikr-e-ma.āl aa.e
kuchh hosh nahīñ ham ko paimān-e-vafā kyā thā
ham sub.h-e-azal hī se sarmast-e-ḳhayāl aa.e
ma.alūm nahīñ 'shāriq' kyoñ chāk-garebāñ haiñ
phūloñ se koī pūchhe kyā ho ke nihāl aa.e
ishrat ka KHayal aae aur dil mein malal aae
yun jis ka KHayal aae KHak us ka KHayal aae
paigham-e-bahaar aae majbur-e-qafas tak kyon
kyon ishrat-e-rafta ka ab dil mein KHayal aae
saqi teri mahfil mein andesha-e-farda kya
saghar liye tu aae aur fikr-e-maal aae
kuchh hosh nahin hum ko paiman-e-wafa kya tha
hum subh-e-azal hi se sarmast-e-KHayal aae
malum nahin 'shaariq' kyon chaak-gareban hain
phulon se koi puchhe kya ho ke nihaal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.