ishrat ki haqiqat kya hasti ki musibat kya
ishrat kī haqīqat kyā hastī kī musībat kyā
mere liye duniyā meñ ab ranj kyā rāhat kyā
uf vus.at-e-sahrā-e-hastī kī ye kotāhī
sab qaidi-e-zindāñ haiñ maiñ kyā mirī vahshat kyā
ro.uuñ to sukūñ paa.e taḌpūñ to mazā aa.e
paa.ī hai muqaddar se zālim ne tabī.at kyā
kis haal meñ honā thā kis haal ko jā pahuñchī
hai jins-e-vafā terī bāzār meñ qīmat kyā
jab ḳhud ko miTā Daalā ghar-bār luTā Daalā
jab jā ke ye jaanā hai hotī hai muravvat kyā
āñkhoñ se Tapak jaa.e yā ḳhaak meñ mil jaa.e
dil kyoñ rahe siine meñ ab is kī zarūrat kyā
ai 'ḳhizr' dhaḌaktā hai dil kyoñ mirā rah rah kar
hairāñ huuñ batā.ūñ bhī is baat kī bābat kyā
ishrat ki haqiqat kya hasti ki musibat kya
mere liye duniya mein ab ranj kya rahat kya
uf wusat-e-sahra-e-hasti ki ye kotahi
sab qaidi-e-zindan hain main kya meri wahshat kya
roun to sukun pae taDpun to maza aae
pai hai muqaddar se zalim ne tabiat kya
kis haal mein hona tha kis haal ko ja pahunchi
hai jins-e-wafa teri bazar mein qimat kya
jab KHud ko miTa Dala ghar-bar luTa Dala
jab ja ke ye jaana hai hoti hai murawwat kya
aankhon se Tapak jae ya KHak mein mil jae
dil kyon rahe sine mein ab is ki zarurat kya
ai 'KHizr' dhaDakta hai dil kyon mera rah rah kar
hairan hun bataun bhi is baat ki babat kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.