ishrat ne tamannaon ko bazar kiya hai
'ishrat ne tamannāoñ ko bāzār kiyā hai
majbūrī ne har shai ko ḳharīdār kiyā hai
Dar thā ki kahīñ maiñ bhī na ban jā.ūñ farishta
ye soch ke apne ko gunahgār kiyā hai
milne ko zarūr ā.eñge ik roz dar-o-bām
mujh ko isī ummīd ne dīvār kiyā hai
ḳhush-rang parinde to nahīñ karte baserā
ik peḌ ne shāḳhoñ ko ḳhabar-dār kiyā hai
lafzoñ meñ utar aa.ī hai sāzish kī siyāhī
is 'ahd ne afvāhoñ ko aḳhbār kiyā hai
tā'mīr meñ aatī hai nazar ḳhuun kī laalī
logoñ ne kise ḳhvāb kā me.amār kiyā hai
ye baat utartī nahīñ sūraj ke gale se
tārīkī ne jugnū se bahut pyaar kiyā hai
chingāriyāñ dāman meñ bhare ek diye ne
be-samt havāoñ ko giraftār kiyā hai
phir shaam kī shāḳhoñ pe haiñ yādoñ ke basere
phir us ne mirī raat ko gulzār kiyā hai
phir hai dil-e-nādāñ ko kisī ġham kī zarūrat
ḳhushiyoñ ne to jaise mujhe bīmār kiyā hai
'ishrat ne tamannaon ko bazar kiya hai
majburi ne har shai ko KHaridar kiya hai
Dar tha ki kahin main bhi na ban jaun farishta
ye soch ke apne ko gunahgar kiya hai
milne ko zarur aaenge ek roz dar-o-baam
mujh ko isi ummid ne diwar kiya hai
KHush-rang parinde to nahin karte basera
ek peD ne shaKHon ko KHabar-dar kiya hai
lafzon mein utar aai hai sazish ki siyahi
is 'ahd ne afwahon ko aKHbar kiya hai
ta'mir mein aati hai nazar KHun ki lali
logon ne kise KHwab ka meamar kiya hai
ye baat utarti nahin suraj ke gale se
tariki ne jugnu se bahut pyar kiya hai
chingariyan daman mein bhare ek diye ne
be-samt hawaon ko giraftar kiya hai
phir sham ki shaKHon pe hain yaadon ke basere
phir us ne meri raat ko gulzar kiya hai
phir hai dil-e-nadan ko kisi gham ki zarurat
KHushiyon ne to jaise mujhe bimar kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.