isi ada pe sitamgar ka sar buland hua
isī adā pe sitamgar kā sar buland huā
nazar vahāñ pe uThī dil yahāñ pe band huā
ḳhudā rakhe ik unhī ko taras nahīñ aayā
raqīb tak mirī hālat pe dard-mand huā
baḌhā na rāh-e-mohabbat pe kārvān-e-junūñ
ḳhudā kā shukr ki naala mirā buland huā
jo ham na kar sake piirī ne kar diyā aa kar
charāġh-e-husn bujhā un kā kaam band huā
sazā-e-'ishq na kartā talab maiñ ḳhātir-e-ġhair
vo 'umr bhar ke liye un ke dil meñ band huā
hameñ visāl se matlab unheñ visāl se ḳhaar
pasand jo thā hameñ un ko nā-pasand huā
ilāhī ḳhair ki 'arsh-e-barīñ bhī Taap gayā
ḳhayāl-e-hazrat-e-'hāris' 'ajab buland huā
isi ada pe sitamgar ka sar buland hua
nazar wahan pe uThi dil yahan pe band hua
KHuda rakhe ek unhi ko taras nahin aaya
raqib tak meri haalat pe dard-mand hua
baDha na rah-e-mohabbat pe karwan-e-junun
KHuda ka shukr ki nala mera buland hua
jo hum na kar sake piri ne kar diya aa kar
charagh-e-husn bujha un ka kaam band hua
saza-e-'ishq na karta talab main KHatir-e-ghair
wo 'umr bhar ke liye un ke dil mein band hua
hamein visal se matlab unhen visal se KHar
pasand jo tha hamein un ko na-pasand hua
ilahi KHair ki 'arsh-e-barin bhi Tap gaya
KHayal-e-hazrat-e-'haaris' 'ajab buland hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.