isi duniya ke isi daur ke hain
isī duniyā ke isī daur ke haiñ
ham to dillī meñ bhī bijnor ke haiñ
aap in.aam kisī aur ko deñ
ham namak-ḳhvār kisī aur ke haiñ
sarsarī taur se mat lo ham ko
ham zarā fikr zarā ġhaur ke haiñ
kuchh tarīqe bhī purāne haiñ mire
kuchh masā.il bhī na.e daur ke haiñ
koī ummīd na rakhnā ham se
ab to ham yuuñ bhī kisī aur ke haiñ
isi duniya ke isi daur ke hain
hum to dilli mein bhi bijnor ke hain
aap inam kisi aur ko den
hum namak-KHwar kisi aur ke hain
sarsari taur se mat lo hum ko
hum zara fikr zara ghaur ke hain
kuchh tariqe bhi purane hain mere
kuchh masail bhi nae daur ke hain
koi ummid na rakhna hum se
ab to hum yun bhi kisi aur ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.