isi KHayal se dil mein mere ujala hai
isī ḳhayāl se dil meñ mire ujālā hai
dimāġh vaqt kī dhaḌkan ko sunñe vaalā hai
taḌap talab hai mirī tishna-lab samundar huuñ
habāb kahte haiñ jis ko zabāñ pe chhālā hai
tamām ḳhvāb ḳhayālāt ban ke TuuTe haiñ
ye daur dekhiye ab kyā dikhāne vaalā hai
maiñ apne haal se ghabrā ke mar gayā hotā
mujhe to vāqa.ī biite dinoñ ne paalā hai
palaT ke shaam ko vāpas pahuñch bhī pā.ūñgā
is ek soch ne ghar se qadam nikālā hai
maiñ gard ban ke uḌā thā talāsh meñ apnī
tire ḳhayāl ne lekin mujhe sambhālā hai
'shafīq' kaise koī kaifiyat bayāñ hogī
har ek lafz mirī soch kā nivālā hai
isi KHayal se dil mein mere ujala hai
dimagh waqt ki dhaDkan ko sunne wala hai
taDap talab hai meri tishna-lab samundar hun
habab kahte hain jis ko zaban pe chhaala hai
tamam KHwab KHayalat ban ke TuTe hain
ye daur dekhiye ab kya dikhane wala hai
main apne haal se ghabra ke mar gaya hota
mujhe to waqai bite dinon ne pala hai
palaT ke sham ko wapas pahunch bhi paunga
is ek soch ne ghar se qadam nikala hai
main gard ban ke uDa tha talash mein apni
tere KHayal ne lekin mujhe sambhaala hai
'shafiq' kaise koi kaifiyat bayan hogi
har ek lafz meri soch ka niwala hai
- Book : Jazira meri aafiyat ka (Pg. 46)
- Author : Shafiq Abbas
- Publication : Kitab Daar (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.