isi liye main muKHatib hun is zamane se
isī liye maiñ muḳhātib huuñ is zamāne se
suḳhan kī riit chalī hai mire gharāne se
ḳharīd laa.e ho chādar namāzeñ chhūTī haiñ
bhalā milegā ḳhudā kyā ise chaḌhāne se
gunāh karnā hai mujh ko halāl rizq se ab
mujhe sharāb hai piinī sharāb-ḳhāne se
vahī hai aag jo tum ne lagā.ī thī dil meñ
bhalā vo kaise bujhegī mire bujhāne se
namāz paḌh ke maiñ aayā sharāb laa.ī jaa.e
savāb miltā hai pyāse ko mai pilāne se
isi liye main muKHatib hun is zamane se
suKHan ki rit chali hai mere gharane se
KHarid lae ho chadar namazen chhuTi hain
bhala milega KHuda kya ise chaDhane se
gunah karna hai mujh ko halal rizq se ab
mujhe sharab hai pini sharab-KHane se
wahi hai aag jo tum ne lagai thi dil mein
bhala wo kaise bujhegi mere bujhane se
namaz paDh ke main aaya sharab lai jae
sawab milta hai pyase ko mai pilane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.