isi liye to ye anjam use gawara nahin
isī liye to ye anjām use gavāra nahīñ
vo jiit to gayā mujh se maiñ us se haarā nahīñ
nayā nayā sā thā peshe meñ apne vo qātil
so us ne qatl kiyā merā mujh ko maarā nahīñ
asātiza kā kahā she'r hai koī vo shaḳhs
khulā hai thoḌā hī mujh pe abhī vo saarā nahīñ
koī kisī kā nahīñ aur ye baat Thiik bhī hai
qarīb hai vo hamāre bahut hamārā nahīñ
sulag rahe haiñ 'anant' aap kis liye itnā
unheñ jo chāhiye vo chāñd hai sitāra nahīñ
isi liye to ye anjam use gawara nahin
wo jit to gaya mujh se main us se haara nahin
naya naya sa tha peshe mein apne wo qatil
so us ne qatl kiya mera mujh ko mara nahin
asatiza ka kaha she'r hai koi wo shaKHs
khula hai thoDa hi mujh pe abhi wo sara nahin
koi kisi ka nahin aur ye baat Thik bhi hai
qarib hai wo hamare bahut hamara nahin
sulag rahe hain 'anant' aap kis liye itna
unhen jo chahiye wo chand hai sitara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.