isi liye tujhe deta hun dad nafrat ki
isi liye tujhe deta hun dad nafrat ki
Mohammad Mubashshir Mayo
MORE BYMohammad Mubashshir Mayo
isī liye tujhe detā huuñ daad nafrat kī
ki tū ne ishq se pur-e'timād nafrat kī
koī na dil se kisī ko nikāl kar pheñke
kabhī na puurī ho maulā murād nafrat kī
kabhī kabhī vo mujhe pyaar itnā detā thā
kabhī kabhī bahut aatī thī yaad nafrat kī
gulāb suukh ga.e haiñ hue haiñ ḳhaar hare
havas ne pyaar meñ Daalī hai khaad nafrat kī
ye dost barsar-e-paikār hone lag ga.e haiñ
to vaj.h banñe lagī hai fasād nafrat kī
us ek shaḳhs ko chāhūñgā tā-dam-e-āḳhir
vo jis ne mujh se mohabbat ke ba.ad nafrat kī
na koī tiir na sāzish na tohmateñ na hasad
kisī ne mujh se baḌī be-svād nafrat kī
ki us kā dard mohabbat ke dukh se thoḌā hai
ye baat achchhī hai is nā-murād nafrat kī
maiñ is liye bhī mohabbat se baaz aa gayā thā
ki us ke shahr meñ miltī thī daad nafrat kī
isi liye tujhe deta hun dad nafrat ki
ki tu ne ishq se pur-e'timad nafrat ki
koi na dil se kisi ko nikal kar phenke
kabhi na puri ho maula murad nafrat ki
kabhi kabhi wo mujhe pyar itna deta tha
kabhi kabhi bahut aati thi yaad nafrat ki
gulab sukh gae hain hue hain KHar hare
hawas ne pyar mein Dali hai khad nafrat ki
ye dost barsar-e-paikar hone lag gae hain
to wajh banne lagi hai fasad nafrat ki
us ek shaKHs ko chahunga ta-dam-e-aKHir
wo jis ne mujh se mohabbat ke baad nafrat ki
na koi tir na sazish na tohmaten na hasad
kisi ne mujh se baDi be-swad nafrat ki
ki us ka dard mohabbat ke dukh se thoDa hai
ye baat achchhi hai is na-murad nafrat ki
main is liye bhi mohabbat se baz aa gaya tha
ki us ke shahr mein milti thi dad nafrat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.