isi mein zat ka idrak irtiqa ka shuur
isī meñ zaat kā idrāk irtiqā kā shu.ūr
mirī nazar meñ mohabbat hai intihā kā shu.ūr
mire vajūd se pahle kahāñ thā zikr-e-jamāl
kahāñ thī ishq sī lazzat kahāñ vafā kā shu.ūr
jhukī jabīñ to aqīdat se āshnā.ī huī
uThā.e haath to in meñ paḌā duā kā shu.ūr
vo sar dikhā.e mujhe jis meñ ḳhud-sarī hai abhī
vo haath ūñchā kare jis ko hai anā kā shu.ūr
maiñ shor-o-shar se zarā fāsla baḌhā.ūñgā
samā.atoñ meñ utar aa.egā sadā kā shu.ūr
hamārā aa.ine par inhisār baḌhne lagā
badan meñ jab se khulā jism-e-māvarā kā shu.ūr
ye baat jānñā lāzim hai har kisī ke liye
nizām-e-adl se marbūt hai ḳhudā kā shu.ūr
kahāñ se zehn meñ aayā ḳhayāl-e-hirs-o-havas
kahāñ se jism ne paayā hai āshnā kā shu.ūr
ye saañs chalnī thī jalte charāġh bujhne the
hameñ nahīñ bhī agar hotā is havā kā shu.ūr
ye harf-o-lafz se nisbat ye zauq-e-sher-o-suḳhan
ye ġhaur-o-fikr hai 'shāhid' meñ ibtidā kā shu.ūr
isi mein zat ka idrak irtiqa ka shuur
meri nazar mein mohabbat hai intiha ka shuur
mere wajud se pahle kahan tha zikr-e-jamal
kahan thi ishq si lazzat kahan wafa ka shuur
jhuki jabin to aqidat se aashnai hui
uThae hath to in mein paDa dua ka shuur
wo sar dikhae mujhe jis mein KHud-sari hai abhi
wo hath uncha kare jis ko hai ana ka shuur
main shor-o-shar se zara fasla baDhaunga
samaaton mein utar aaega sada ka shuur
hamara aaine par inhisar baDhne laga
badan mein jab se khula jism-e-mawara ka shuur
ye baat jaanna lazim hai har kisi ke liye
nizam-e-adl se marbut hai KHuda ka shuur
kahan se zehn mein aaya KHayal-e-hirs-o-hawas
kahan se jism ne paya hai aashna ka shuur
ye sans chalni thi jalte charagh bujhne the
hamein nahin bhi agar hota is hawa ka shuur
ye harf-o-lafz se nisbat ye zauq-e-sher-o-suKHan
ye ghaur-o-fikr hai 'shahid' mein ibtida ka shuur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.