isi qusur mein shanon se sar utarte rahe
isī qusūr meñ shānoñ se sar utarte rahe
vo kaise log the jo phir bhī ishq karte rahe
safeñ bañdhī rahīñ kāñToñ kī rāh-e-ulfat meñ
guzarne vaale magar qāfile guzarte rahe
tumhārī āñkhoñ kī vo mauj-ḳhez jhīloñ meñ
safīne Duub ke ummīd ke ubharte rahe
nizām-e-nūr hai mohkam shab-e-siyah ke ḳhilāf
sitāre Duube to sūraj yahāñ ubharte rahe
unhī ko bhuuk se ham ne niDhāl paayā hai
havas ke bande ki jo khet khet charte rahe
qafas bhī ek na.e tarz kā nasheman thā
hamāre baaġh ke bulbul to yūñhī Darte rahe
liyā thā naam tirā aur sazā-e-dār milī
pahuñch ke daar pe phir tujh ko yaad karte rahe
tire baġhair ye maanā ki iztirāb rahā
tire baġhair bhī lamhāt-e-ġham guzarte rahe
shikāriyoñ ko hamesha shikār miltā rahā
hamesha makr ke daane yahāñ bikharte rahe
jo log tul ga.e marne pe jī ga.e haiñ vahī
jo log maut se Darte rahe vo marte rahe
udhar kisī kā thā shīrāza-e-sukūñ darham
kisī ke gesu-e-mushkīñ idhar sañvarte rahe
isi qusur mein shanon se sar utarte rahe
wo kaise log the jo phir bhi ishq karte rahe
safen bandhi rahin kanTon ki rah-e-ulfat mein
guzarne wale magar qafile guzarte rahe
tumhaari aankhon ki wo mauj-KHez jhilon mein
safine Dub ke ummid ke ubharte rahe
nizam-e-nur hai mohkam shab-e-siyah ke KHilaf
sitare Dube to suraj yahan ubharte rahe
unhi ko bhuk se hum ne niDhaal paya hai
hawas ke bande ki jo khet khet charte rahe
qafas bhi ek nae tarz ka nasheman tha
hamare bagh ke bulbul to yunhi Darte rahe
liya tha nam tera aur saza-e-dar mili
pahunch ke dar pe phir tujh ko yaad karte rahe
tere baghair ye mana ki iztirab raha
tere baghair bhi lamhat-e-gham guzarte rahe
shikariyon ko hamesha shikar milta raha
hamesha makr ke dane yahan bikharte rahe
jo log tul gae marne pe ji gae hain wahi
jo log maut se Darte rahe wo marte rahe
udhar kisi ka tha shiraaza-e-sukun darham
kisi ke gesu-e-mushkin idhar sanwarte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.