isi rang-e-kaif-o-nashat mein shab-e-mahtab guzar gai
isi rang-e-kaif-o-nashat mein shab-e-mahtab guzar gai
Ram Krishn Muztar
MORE BYRam Krishn Muztar
isī rang-e-kaif-o-nashāt meñ shab-e-māhtāb guzar ga.ī
kabhī lab pe ġhunche chaTak uThe kabhī ruḳh pe zulf bikhar ga.ī
vo qarār-e-rūh-o-nazar gayā vo bahār-e-shām-o-sahar ga.ī
zarā aañkh jhapkī thī ek pal ki vo zindagī hī guzar ga.ī
kabhī phuul phuul chaman chaman kabhī chāñd tāroñ kī anjuman
tirī justujū meñ kahāñ kahāñ mujhe le ke merī nazar ga.ī
phir usī nazar kī hai aarzū phir usī kiran kī hai justujū
jo samā ga.ī mirī ruuh meñ jo dil-o-jigar meñ utar ga.ī
tirī har sadā meñ hai zindagī tirī har adā meñ hai dilkashī
tirī jāñ-faroz nigāh se mirī kā.enāt sañvar ga.ī
hai kahāñ jahān-e-sukūn-e-dil na milā nishān-e-sukūn-e-dil
ki sukūn-e-dil kī talāsh meñ mirī ek 'umr guzar ga.ī
tire dil ko 'muztar'-e-ġham-zada ye batā.e kaun ki kyā huā
vo ḳhushī kā daur kahāñ gayā vo bahār-e-'aish kidhar ga.ī
isi rang-e-kaif-o-nashat mein shab-e-mahtab guzar gai
kabhi lab pe ghunche chaTak uThe kabhi ruKH pe zulf bikhar gai
wo qarar-e-ruh-o-nazar gaya wo bahaar-e-sham-o-sahar gai
zara aankh jhapki thi ek pal ki wo zindagi hi guzar gai
kabhi phul phul chaman chaman kabhi chand taron ki anjuman
teri justuju mein kahan kahan mujhe le ke meri nazar gai
phir usi nazar ki hai aarzu phir usi kiran ki hai justuju
jo sama gai meri ruh mein jo dil-o-jigar mein utar gai
teri har sada mein hai zindagi teri har ada mein hai dilkashi
teri jaan-faroz nigah se meri kaenat sanwar gai
hai kahan jahan-e-sukun-e-dil na mila nishan-e-sukun-e-dil
ki sukun-e-dil ki talash mein meri ek 'umr guzar gai
tere dil ko 'muztar'-e-gham-zada ye batae kaun ki kya hua
wo KHushi ka daur kahan gaya wo bahaar-e-'aish kidhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.