isi sabab se teri aarzu ziyaada hai
isī sabab se tirī aarzū ziyāda hai
tū be-vafā hai magar ḳhūb-rū ziyāda hai
sukūn miltā nahīñ hai mujhe kisī sūrat
vo dard le ki tirī justujū ziyāda hai
jahāñ se guzreñ vahī raushnī hai phailī huī
jidhar bhī dekheñ vahī rū-ba-rū ziyāda hai
tirā ḳhayāl maiñ ḳhud se ziyāda rakhtā huuñ
to kyā ye sach hai ki ab mujh meñ tū ziyāda hai
bahāte rahte haiñ āñkhoñ se ashk kī sūrat
hamārī aañkh meñ shāyad lahū ziyāda hai
isi sabab se teri aarzu ziyaada hai
tu be-wafa hai magar KHub-ru ziyaada hai
sukun milta nahin hai mujhe kisi surat
wo dard le ki teri justuju ziyaada hai
jahan se guzren wahi raushni hai phaili hui
jidhar bhi dekhen wahi ru-ba-ru ziyaada hai
tera KHayal main KHud se ziyaada rakhta hun
to kya ye sach hai ki ab mujh mein tu ziyaada hai
bahate rahte hain aankhon se ashk ki surat
hamari aankh mein shayad lahu ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.