isi se ujDa hua lala-zar hai shayad
isī se ujḌā huā lāla-zār hai shāyad
chaman se duur abhī tak bahār hai shāyad
azal se gosh-bar-āvāz hai jahāñ saarā
tirī sadā kā use intizār hai shāyad
usī se tālib-e-jalva pe bijliyāñ na girīñ
abhī hijāb hī meñ vo nigār hai shāyad
pukārtā hai zamāna magar nahīñ suntā
koī samand havā par savār hai shāyad
du'ā ko haath uThā.e hue hai ik bekas
karam kā aap ke ummīd-vār hai shāyad
pahuñch gayā hai jo uḌ kar kisī ke dāman tak
vo merī ḳhāk-e-lahad kā ġhubār hai shāyad
uThā jo dār-e-fanā se gayā vo sū-e-adam
musāfiroñ kī yahī rahguzār hai shāyad
tire karam ne navāzā nahīñ jo ai saaqī
udaas isī se tirā mai-gusār hai shāyad
kalīm-e-tūr ne dekhā thā ai 'tarab' jis ko
usī hasīñ kā zamāna shikār hai shāyad
isi se ujDa hua lala-zar hai shayad
chaman se dur abhi tak bahaar hai shayad
azal se gosh-bar-awaz hai jahan sara
teri sada ka use intizar hai shayad
usi se talib-e-jalwa pe bijliyan na girin
abhi hijab hi mein wo nigar hai shayad
pukarta hai zamana magar nahin sunta
koi samand hawa par sawar hai shayad
du'a ko hath uThae hue hai ek bekas
karam ka aap ke ummid-war hai shayad
pahunch gaya hai jo uD kar kisi ke daman tak
wo meri KHak-e-lahad ka ghubar hai shayad
uTha jo dar-e-fana se gaya wo su-e-adam
musafiron ki yahi rahguzar hai shayad
tere karam ne nawaza nahin jo ai saqi
udas isi se tera mai-gusar hai shayad
kalim-e-tur ne dekha tha ai 'tarab' jis ko
usi hasin ka zamana shikar hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.