isi surat hum apna raaz-e-dil shayad nihan kar len
isi surat hum apna raaz-e-dil shayad nihan kar len
Nazeer Mohammad Arzu Jaipuri
MORE BYNazeer Mohammad Arzu Jaipuri
isī sūrat ham apnā rāz-e-dil shāyad nihāñ kar leñ
zamāne bhar ko apne aap se ham bad-gumāñ kar leñ
fareb-e-ishq kā maarā huā gum-karda manzil huuñ
sharīk apnā kaheñ mujh ko na ahl-e-kārvāñ kar leñ
tamāsha hī agar maqsūd hai us husn-paikar kā
to apnā dil to is qābil zarā ahl-e-jahāñ kar leñ
haram kā shaiḳh ko aur barhaman ko dair kā da.avā
tumhārī kis jagah taḳhsīs ai jān-e-jahāñ kar leñ
agar ahl-e-haram chāheñ ḳhudā ko mehrbāñ karnā
to mai-ḳhāne meñ aakar bai.at-e-pīr-e-muġhāñ kar leñ
vahāñ pahuñchā.ūñ le jā kar jahāñ manzil hī manzil ho
jo ahl-e-kārvāñ mujh ko hī mīr-e-kārvāñ kar leñ
udhar mauj-e-tabassum aur idhar añgḌā.iyāñ un kī
batāo 'ārzū' ab sabr kā kaise gumāñ kar leñ
isi surat hum apna raaz-e-dil shayad nihan kar len
zamane bhar ko apne aap se hum bad-guman kar len
fareb-e-ishq ka mara hua gum-karda manzil hun
sharik apna kahen mujh ko na ahl-e-karwan kar len
tamasha hi agar maqsud hai us husn-paikar ka
to apna dil to is qabil zara ahl-e-jahan kar len
haram ka shaiKH ko aur barhaman ko dair ka dawa
tumhaari kis jagah taKHsis ai jaan-e-jahan kar len
agar ahl-e-haram chahen KHuda ko mehrban karna
to mai-KHane mein aakar baiat-e-pir-e-mughan kar len
wahan pahunchaun le ja kar jahan manzil hi manzil ho
jo ahl-e-karwan mujh ko hi mir-e-karwan kar len
udhar mauj-e-tabassum aur idhar angDaiyan un ki
batao 'arzu' ab sabr ka kaise guman kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.