isi tamanna mein dil ka charagh jalta hai
isī tamannā meñ dil kā charāġh jaltā hai
ki us ke nuur se ehsās-e-ġham sañbhaltā hai
hujūm-e-ranj-o-mehan meñ qazā ko bahlāyā
ki vaqt saañs ke naqsh-e-qadam pe chaltā hai
kisī kī gardish-e-ayyām par nazar na rahī
ki shaam hote hī sūraj bhī roz Dhaltā hai
ye dard azmat-e-imkāñ kī had se bāhar hai
ye zaḳhm vo hai jo āġhosh-e-ġham meñ paltā hai
muġhāltoñ meñ añdheroñ ke zindagī guzrī
milī hai raushnī jab bhī to dam nikaltā hai
ye niiñd palkoñ kā jo fāsla hai rahne de
bas is tarah tire vahshī kā dil bahaltā hai
kiyā hai aise masā.il ne muztarib dil ko
har ek ashk-e-'shafaq' ġham kā ruḳh badaltā hai
isi tamanna mein dil ka charagh jalta hai
ki us ke nur se ehsas-e-gham sanbhalta hai
hujum-e-ranj-o-mehan mein qaza ko bahlaya
ki waqt sans ke naqsh-e-qadam pe chalta hai
kisi ki gardish-e-ayyam par nazar na rahi
ki sham hote hi suraj bhi roz Dhalta hai
ye dard azmat-e-imkan ki had se bahar hai
ye zaKHm wo hai jo aaghosh-e-gham mein palta hai
mughaalton mein andheron ke zindagi guzri
mili hai raushni jab bhi to dam nikalta hai
ye nind palkon ka jo fasla hai rahne de
bas is tarah tere wahshi ka dil bahalta hai
kiya hai aise masail ne muztarib dil ko
har ek ashk-e-'shafaq' gham ka ruKH badalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.